Did every pani-puri wala suddenly become subpar or what?
Doston sambhalo mera code phat gaya...
Let them be human — flawed, inconsistent, real.
Learning is not supposed to be fun. The primary feeling should be that of effort. It should look a lot less like that "10 minute full body" workout from your local digital media creator and a lot more like a serious session at the gym. You want the mental equivalent of sweating.
— Andrej Karpathy
In the AI age, taste will become even more important.
Knock, knock.
Who's there?
Norma Lee.
Norma Lee who?
Norma Lee I don't do this, but do you want to go out with me?
Umeed pe duniya Kayam hai
Man has no freedom. Fate tosses him about in all directions. The game which Fate plays is unpredictable. Nothing lasts in this world. What has been gathered is scattered about. What was once at the top soon reaches the lowest position. Meetings only end in separations and, as for life, it only ends in death.
Aaj Delhi me, ek hotel me aag lagne se kuch logo ki maut ho gayi, thode din pehle train accident me huyi thi, kabhi bridge ke girne se toh kabhi kabar raste pe sirf chalne se ho jati hai, kuch logo ki maut
Jab jab desh ke kisi kone me hoti hai kisi ki maut tab tab mujhe yaad aata hai papa ka mujhe loan leke desh se bahar bhejne ka sapna aur "mera desh ke liye kuch karna hai" ye kehke unke uss sapne ko todne vala din
Z-value ne critical region me aake apni aukat dikha diya
जो मेरे घर कभी नहीं आएंगे
मैं उनसे मिलने
उनके पास चला जाऊंगा।
एक उफ़नती नदी कभी नहीं आएगी मेरे घर
नदी जैसे लोगों से मिलने
नदी किनारे जाऊंगा
कुछ तैरूंगा और डूब जाऊंगा।
पहाड़, टीले, चट्टानें, तालाब
असंख्य पेड़ खेत
कभी नहीं आयेंगे मेरे घर
खेत खलिहानों जैसे लोगों से मिलने
गांव-गांव, जंगल-गलियां जाऊंगा।
जो लगातार काम से लगे हैं
मैं फुरसत से नहीं
उनसे एक ज़रूरी काम की तरह
मिलता रहूंगा।
इसे मैं अकेली आख़िरी इच्छा की तरह
सबसे पहली इच्छा रखना चाहूंगा।
— Vinod kumar shukla
Bhale betho hazaro vaar eno haath Jaline
Toh pan khabar nathi eni nas kya che
— Mariz
'Gaalib' hame.n na chhe.D ki phir josh-e-ashk se
baiThe hai.n ham tahayya-e-tuufaa.n kiye hu.e
— Mirza Ghalib
aur 'faraaz' chaahiye.n kitnii mohabbate.n tujhe
maa.o.n ne tere naam par bachcho.n kaa naam rakh diyaa
— Ahmad Faraz
hazaaro.n KHvaahishe.n aisii ki har KHvaahish pe dam nikle
bahut nikle mire armaan lekin phir bhii kam nikle
— Mirza Ghalib
rago.n me.n dau.Dte phirne ke ham nahii.n qaa.il
jab aa.nkh hii se na Tapkaa to phir lahuu kyaa hai
— Mirza Ghalib
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
— Mirza Ghalib
ishq ne 'Gaalib' nikammaa kar diyaa
varna ham bhii aadmii the kaam ke
— Mirza Ghalib
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuu.n dekhe.n zindagii ko kisii kii nazar se ham
— Sahir Ludhianvi
hazaar barq gire laakh aa.ndhiyaa.n uTThe.n
vo phuul khil ke rahe.nge jo khilne vaale hai.n
— Sahir Ludhianvi
है पाश पाश मगर फिर भी मुस्कुराता है
वो चेहरा जैसे हो टूटे हुए खिलौने का
— Javed Akhtar
नेकी इक दिन काम आती है हम को क्या समझाते हो
हम ने बे-बस मरते देखे कैसे प्यारे प्यारे लोग
— Javed Akhtar
डर हम को भी लगता है रस्ते के सन्नाटे से
लेकिन एक सफ़र पर ऐ दिल अब जाना तो होगा
— Javed Akhtar
बड़ी हसरत से इंसाँ बचपने को याद करता है
ये फल पक कर दोबारा चाहता है ख़ाम हो जाए
— Nushur Wahidi
इक नज़र का फ़साना है दुनिया
सौ कहानी है इक कहानी से
— Nushur Wahidi
kis liye dekhtii ho aa.iina
tum to KHud se bhii KHuubsuurat ho
— Jaun Eliya
mai.n jo huu.n 'jaun-elia' huu.n janaab
is kaa behad lihaaz kiijiyegaa
— Jaun Eliya
ye mujhe chain kyuu.n nahii.n pa.Dtaa
ek hii shaKHs thaa jahaan me.n kyaa
— Jaun Eliya
us kii yaad aa.ii hai saa.nso zaraa aahista chalo
dha.Dkano.n se bhii ibaadat me.n KHalal pa.Dtaa hai
— Rahat Indori
सवाल ये है हवा आई किस इशारे पर
चराग़ किस के बुझे ये सवाल थोड़ी है
— Nadim Nadeem
नहीं निगाह में मंज़िल तो जुस्तुजू ही सही
नहीं विसाल मयस्सर तो आरज़ू ही सही
— Faiz Ahmad Faiz
दिल ना-उमीद तो नहीं नाकाम ही तो है
लम्बी है ग़म की शाम मगर शाम ही तो है
— Faiz Ahmad Faiz
और भी दुख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा
— Faiz Ahmad Faiz
KHush-shakl bhii hai vo ye alag baat hai magar
ham ko zahiin log hamesha pasand the
— Javed Akhtar
dhu.aa.n jo kuchh gharo.n se uTh rahaa hai
na puure shahar par chhaa.e to kahnaa
— Javed Akhtar
tum ye kahte ho ki mai.n Gair huu.n phir bhii shaayad
nikal aa.e ko.ii pahchaan zaraa dekh to lo
— Javed Akhtar
maz.hab nahii.n sikhaataa aapas me.n bair rakhnaa
hindii hai.n ham vatan hai hindostaa.n hamaaraa
— Allama Iqbal
mujh se pahlī sī mohabbat mirī mahbūb na maañg
maiñ ne samjhā thā ki tū hai to daraḳhshāñ hai hayāt
terā ġham hai to ġham-e-dahr kā jhagḌā kyā hai
terī sūrat se hai aalam meñ bahāroñ ko sabāt
terī āñkhoñ ke sivā duniyā meñ rakkhā kyā hai
tū jo mil jaa.e to taqdīr nigūñ ho jaa.e
yuuñ na thā maiñ ne faqat chāhā thā yuuñ ho jaa.e
aur bhī dukh haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā
rāhateñ aur bhī haiñ vasl kī rāhat ke sivā
an-ginat sadiyoñ ke tārīk bahīmāna tilism
resham o atlas o kamḳhāb meñ bunvā.e hue
jā-ba-jā bikte hue kūcha-o-bāzār meñ jism
ḳhaak meñ luThḌe hue ḳhuun meñ nahlā.e hue
jism nikle hue amrāz ke tannūroñ se
piip bahtī huī galte hue nāsūroñ se
lauT jaatī hai udhar ko bhī nazar kyā kiije
ab bhī dilkash hai tirā husn magar kyā kiije
aur bhī dukh haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā
rāhateñ aur bhī haiñ vasl kī rāhat ke sivā
mujh se pahlī sī mohabbat mirī mahbūb na maañg
— Faiz Ahmad Faiz